Darta hoon ki shayad tumko kho na doon
Isliye bas chup hi rehta hoon
kuchh kehna agar chahun to zaban ruk jaati hai
Tere saamne aane se dhadkan ruk si jati hai
Mujhko hua kya hai kisi se kehta nahi hoon
Sab kuchh bas khud hi sehta hoon
Bahut khush rehta thha tere zindagi mein aane se pehle
Lekin ye bhi sach hai ki zindagi be matlab thhi is zamane se pehle
Dosto ne kaha ab bol de dil ke raaz khol de
Bata de usko kyun tanha rehta hai
Bol de usko ki tu uski yaadon mein khoya rehta hai
Aaj moka hai kal nahi aayga
Aaj agar kuchh na keh paya umar bhar pachhtayga
Ye baatein usko kehni hai fehrist banayi thhi
Jo diary ke do teen panno pe aayi thhi
Dil ko pakka kiya aur ye irada kiya
Bol dunga usko aaj sab dosto se ye wada kiya
Ab baari thhi bolne ki apne dil ke raaz kholne ki
Jo hui thhi usse baat arz karta hoon aapke saath
Kaha mene usse aapse kuchh batein karni hai
Jo dil ko mere behad azeez hai
per kya karun ki aapki sakhiyan kareeb hai
Kaha usne kahiye jo bhi hai kehna
Hum chale jayenge phir kisi aur se kehte rehna
Kaha mene ji hum aapko chahte bahut hain
Lekin ye bhi sach hai ki zamane se chhupate bahut hai
Ji hum aapke bina ji nahi sakte
Chahkar bhi aapko badnaam kar nahi sakte
Ab hum karein kya aap khud hi bataiyye
Ya yoon karein ki aap zindagi mein meri kabhi na aaiyye
Kasam khata hoon judai ka gham seh loonga
Mein saari umar teri yaad mein zinda reh lunga
Ye wada hai thoda sa ro lunga tujhse bichadne ke baad
Na aaya koi na aayga koi zindagi mein tere jaane ke baad
~Aamir Wisal